मंगलवार, 17 जून 2008

Yaqin jano...

Waqt-e-vasl1 main na khamosh baitho tum
Ki, Dil machalne lagta hai,
Koi farmaish2 karo, koi shikwa3 hi kaho
Ki khud pe tumhara ikhtiyar4 lagta hai.
Na bandho zulfon ko bandishon5 me,
Inke udhne per hi inka rang nikrta hai
Har baat ka jawab sir jhuka ke deti ho,
Han sach hai,
Tumko kya gharz6 hai, kiska dam nikalta hai
Sach kahun! Mujhe taab7 nahi hai, nazar milane ki,
Ki hausla to rakhta hu,
magar dil be-ekhtiyar8 sa lagta hai…
Kya sochte ho chupaloge khud ko iss chilman9 se?
Ki Aftab, abr10 hone per bhi asar rahta hai…………
Kahe jate ho ki jana hai - Aur uthte bhi nahi
Aur hum jumbish11 kerte hain
To kehte ho ki bura sa lagta hai…
Dil ko manana itna aasan to nahi hai magar
Yaqin jano!
Ki phir milne ke ahad12 se ye bhi samabhalne lagta hai….
.......................................................................
1. Waqt-e-vasl=meeting time, 2. farmaish=Wish, 3. Shilwa=complain, 4. ikhtiyar=Control, 5. bandishon=Limitation, 6. gharz=Want, 7. taab=Power, 8. be-ekhtiyar=out of control, 9. chilman=Curtain, 10. abr=Cloud, 11. jumbish=movement, ahad=promises

(Javed aziz....00447918901248) london U.K.

कोई टिप्पणी नहीं: